Ji toa dostoon aap ko welcome kehta hoon Ifactner kay learning video tutorials mein.
Aaj kay video tutorial mein hum baat kerayain gay kah user generated content kia hota hai?
User generated content jo kah UGC, UGC jis ka short form hai woh kia hota hai aur companies
is ko kaysay use kerti hain?
Toa shorow kertay hain ji apna aaj ka video tutorial.
UGC ya User Generated Content; ager aap inn sbadoon per, inn lafzoon per gor kerayain
toa inn mein teen words hain: User, Generated, content.
Yani kah, woh content jo generate kerta hai user.
Theek hai ji.
Ab mein koi product use kerta hoon.
Uss product kay baray mein, mein social media kay oper ya phir Youtube kay oper, aaa whatsapp
kay oper, Facebook kay oper: kaheen per bhi, apnay experience share kerta hoon, pics share
kerta hoon, videos share kerta hoon toa phir woh basically kewnkah mein user hoon uss product
ka toa yani kah mein content generate kia hai.
User nay content generate kia hai kisi product kay baray mein, kis brand kay baray mein,
kisi service kay baray mein.
Aur wohi content jo hai, let's suppose kah mein nay Twitter pay koi Tweet ki thi kisi
product kay baray mein kah yaar yeh mic bohat acha hai, is ko use kero, yeh is tarah kaam
kerta hai, is tarah hota hai.
Aur mic bunati hai jo company, uss nay uss tweet ko dobara re-tweet kia yani kah mayra
unn ko tweet bohat acha luga ya mayri jo video hai unn ko bohat pasand aai aur unn nay uss
ko share kia: apni website ya apnay facebook page pay ya apany youtube page pay uss kay
link ko share kia toa iss kay matalb yeh hai kah unn nay mayray user generated content
ko share kia hai.
Toa dostoon yeh tha concept hamara UGC ka ya User Generated Content ka.
Aap ka koi bhi question ho toa aap neechay diay gaiy comments box mein mujh say pooch
saktay hain.
Koi suggestion hai toa aap mujhay dayain.
Video ko like zeroor kerayain.
Share zeroor keryain.
Aur channel ko subscribe zeroor keryain.
Mein hoon Ifactner aur mein aap say miloon ga aik aur naiy video tutorial mein.
Until then, take care, keep learning, keep enjoying, good day.
Không có nhận xét nào:
Đăng nhận xét